Jo Aap Kaho Who Banayenge Hum
Posted on 08 Sep 2012 Views: 15,130
Ek Aadmi Ko Bahut Bhukh Lagi Hoti Hai, Wo Office Se Aate Hi Patni Se Puchta Hai.
Pati: “Jaanu, Aaj Ke Dinner Mein Kya Hai?”
Patni: “Jo Aap Kaho”
Pati: “Pulao Bana Lo”
Patni: “Abhi Kal Hi To Khaye The”
Pati: “To Sabji Roti Bana Lo”
Patni: “Bachhe Nahi Khayenge”
Pati: “To Chhole Puri Bana Lo”
Patni: “Mujhe Heavy-Heavy Lagta Hai”
Pati: “Eggs Bhurji Bana Lo”
Patni: “Aaj Veervaar Hai”
Pati: “Paraanthe?”
Patni: “Raat Ko Paraanthe Kaun Khata Hai?”
Pati: “Hotel Se Mangwa Lete Hai Change Ho Jayega”
Patni: “Roz-Roz Hotel Ka Nahi Khana Chahiye”
Pati: “Kadhi Chawal?”
Patni: “Dahi Nahi Hai”
Pati: “Idly Sambar?”
Patni: “Usme Time Lagega, Pehle Bolna Chahiye Tha Na”
Pati: “Maggi Hi Bana Lo, Usmein Time Nahi Lagega”
Patni: “Wo Koi Meal Thodi Hai? Pet Nahi Bharta”
Pati: “Phir Ab Kya Banaogi?”
Patni: “Wo Jo Aap Kaho“
Hindi Version
एक आदमी को बहुत भूख लगी होती है, वो ऑफिस से आते ही पत्नी से पूछता है।
पति: "जानू, आज रात के खाने में क्या है?"
पत्नी: "जो आप कहो"
पति: "पुलाव बना लो"
पत्नी: "अभी कल ही तो खाए थे"
पति: "तो सब्जी रोटी बना लो"
पत्नी: "बच्चे नहीं खायेंगे"
पति: "तो छोले पूरी बना लो"
पत्नी: "मुझे हेवी-हेवी लगता है"
पति: "अंडे की भुर्जी बना लो"
पत्नी: "आज वीरवार है"
पति: "परांठे?"
पत्नी: "रात को परांठे कौन खाता है?"
पति: "होटल से मंगवा लेते है कुछ अलग हो जायेगा"
पत्नी: "रोज़-रोज़ होटल का नहीं खाना चाहिए"
पति: "कढ़ी चावल?"
पत्नी: "दही नहीं है"
पति: "इडली सांबर?"
पत्नी: "उसमे टाइम लगेगा, पहले बोलना चाहिए था ना"
पति: "मैग्गी ही बना लो, उसमें टाइम नहीं लगेगा"
पत्नी: "वो कोई माल थोड़ी है? पेट नहीं भरता"
पति: "फिर अब क्या बनाओगी?"
पत्नी: "वो जो आप कहो"
SMS Version
There Is No SMS Version For This Joke.
kiya baat kiya baat